Wednesday, November 1, 2017

New Blog Ke Liye Google Adsense Me Apply Kab Kare – Jane Approval Tips

New Blog Ke Liye Google Adsense Me Apply Kab Kare – Jane Approval Tips

Hello dosto aaj hum log janege ki Naye Blog Ke Liye Google Adsense Me Apply Kab Kare. Ghar baithe baithe paisa kamana kise accha nahi lagta hai. Jis me se ek tarika hai Google Adsense. Ye ek bahut hi accha tarika hai Online Income generate karne ka. Agar aap ke pass koe blog hai. To aap adsense ke Ads apne blog pe laga kar online income generate kar shakte ho. Google adsense ke liye apply karna bahut hi aasan hai. Magar utna hi muskil hai adsense account ko approved karwana. Asian countries desho me to aur bhi muskil hai Jaise india, china ya pakistan jaise desho me.

एडसेंस-के-लिए-अप्लाई-कब-करे

Naye blogger ko new blog banana ke baad kaya karna hota hai. Ish ke bare me jayada pata nahi hota hai. Wo new blog banakar 2 ya 4 post update karte hai. Phir Google Adsense ke liye apply kar dete hai. Aur is ka ntiza ke hota hai ki adsense account approved nahi hota hai. Agar aap ko ek safal blogger banana hai. To aap ko mehanat karni hogi. Mai aap ko yaha kuch important tips batane ja raha hu ki. ‘Naye Blog Ke Liye Google Adsense Me Apply Kab Kare’. Taki aap ka blog aasani se approved ho jaye.

Google Adsense Kaya Hai ?
Google Adsense ek online advertising company hai. Jise Google ne 2003 me launch kiya tha. Ish me aap ko google adsense duwara diye gaye. Ads Code ko apne blog ya website pe lagana hota hai. Jab aap ka adsense account approved ho jata hai. To aap ke blog ya website pe Ads show hone lagte hai. Aur jab koe visitors aap ke blog pe lage huwe Ads pe click karta hai .To google aap ko us click ke paise deti hai.

Blogger blog, Website ya Youtube ki madad se hum google adsense approved karwa shakte hai. Adsense ke bare me aur jayda janne ke liye app Adsense Policy ko padhe.

Blog Kis Platform Pe Banaye ?
Mostely blog 2 platform pe jayda bane hote hai. Pahla Blogspot aur dusra WordPress. Jis me WordPress blog paid hai aur Blogspot free hai. Agar aap new blogger hai. To mai app ko blogger ke liye hi suggest karuga. Kyu ki ye ek to free hai aur dusri baat ki ise manage karna bhi bhut aasan hai. To agar aap apne new blog ko adsense ke liye apply karna chahte hai. To mere bataye gaye kuch important tips ko jarur follow kare.

Naye Blog Ke Liye Google Adsense Me Apply Kab Kare ?
Google adsense ko approved karna bhut jayada muskil bhi nahi hai. Ise approved karane ke liye aap ko bus Adsense Policy ko follow karna hoga. App jab bhi blog banana ke baad google adsense me apply karte hai. To google aap ke site ka review karta hai. Review karte samay wo aap ki site pe niche di hue kuch jankari check karta hai. Mai aap ko kuch important bate niche batane ja raha hu.


1. Blog Ka Design /Layout/Navigation
Adsense me apply karne se pahle app apni site ko acche se design kar le. Taki aap ka site dekhne me sunder lage. Apni site me jarurat se jayda widget use na kare. Jo jaruri widget hai use hi add kare. Sare page ki navigation sahi se use kare. App ka site dekhne me simple or sunder hai. To visitors bhi pasand karege. Aur sabse jaruri baat ki Adsense ko app ke. Simple design kiye huwe site ko review karne me bhi bahut aasani hogi. Aur aap ka site kam time me approve ho jayega.

2. Apne Blog Pe Content Kitna Likhe
Google Adsense approved karane ke liye hum. Pahle 300 words ke article likh kar apply kar dete the. Aur adsense approve bhi ho jata tha. Magar aaj ke date me google adsense kafi strick ho gaya hai. Wo jaldi aap ke site ko approve nahi karta hai. Adsense approve karane me content ek bahut hi important factor hai. Ish liye aap kam se kam 700 se 800 word ka content jarur likhe. Is se aap ke site ka traffic bhi increase hoga. Aur aap ka adsense account bhi jaldi approved ho jayega.

Agar baat kare ki aap ke blog me kitne post hone chahiye. To mai kahuga kam se kam 1000 words ke 10 se 15 post hone chahiye. Magar in sare ke sare post me quality content aur usefull information dena hoga.

3. Blog Ka Traffic Check Kare
Adsense approve karane ke liye site pe organic traffic hona bahut hi jaruri hai. Matlab jab app ke blog pe kam se kam daily 500 page views google, bing, yahoo search engine se aane lage. Aur Alexa rank 10,00,000 ke niche ho.Tab ja kar hi app Google Adsense ke liye apply kare. Agar aap ish se kam page views pe apply kar dete hai. To ho shakta hai ki adsense account approve ho bhi jaye. Per aap ke blog pe kam traffic hone ke karan app ka adsense account disapprove bhi ho jayega. Ish liye kam se kam daily 500 page views hone pe hi apply kare.

4. Don’t Use Copywrite Content
App apne blog me kabhi bhi galti se bhul kar bhi. Kisi dusre ka copy kiya huwa content apne blog me use na kare. App hamesa apne blog ka content kuth likh kar dale. Kyu ki agar aap ke blog pe kuch bhi copyright content milta hai. To aap ka adsense account disapprove ho jayega. Adsense account approved karane ke liye. Ye bahut hi jaruri hai ki app apne blog ka content kudh lihke.

5. Copyright Image
Apne blog me kisi dusre ka image use ka kare. Kyu ki dusre ke image me bhi copyright ka dar bana rahta hai. App kudh ki banaye huwe image ko hi use kare. Ek aur baat aap galti se bhi ‘Adult/Porn’ image ko apni site me use na kare. Kyu ki google ‘porn site’ ko kabhi bhi accept nahi karta hai. Ish liye adsense account ko approve karane ke liye. Kudh ki banae hue image ko hi use kare.

6. Create Pages
Google Adsense account me apply karne se pahle. App apne blog ke liye About Us, Contact Us aur Privacy Policy page jarur bana le. Aur ye tino page apne blog me add kar de. Taki google ko ye pata chal shake ki aap apne kaam ke prati serious hai. Ye tino page add hone ke karan aap ke visitors ko bhi. App ka blog professional lagega.

7. XML Sitemap
App apne blog ka XML sitemap bana kar Google, Bing Yahoo, Yandex Search Engine me submit kar de. Kyu ki sitemap me hi aap ke blog ka sare Post aur pages ka link hota hai. Jis se adsense ko aap ke blog ka sara information pata karne me help milta hai. Ish liye aap apne blog ka sitemap bana kar sare search engine me submit kar de.

8. Google Webmaster/Analytics
Adsense account apply karne se pahle. App apne blog ko Google webmaster tools me account bana kar submit kar de. Taki aap ke sare post aur pages crawl ho shake. Aur aap ka blog seo friendly ho shake.

Google Analytics me bhi account bana kar. Analytics code apne blog me add kar de. Taki google ko aasani se pata chal jaye ki aap ke site pe traffic kinti hai. Jis ke karan aap ka adsense account jaldi se approve ho jayega.

9. Bounce Rate
Bounce Rate ka matlab ya huwa ki. Jab koe visitors aap ke website pe aata hai. To wo aap ke site pe kinte time tak ruka. Adsense aap ke site ka bounce rate bhi ckeck karta hai. Ish liye aap ko apne site ka bounce rate bhi increase karna hoga. Bounce rate increase karne ke liye aap apne post ko kam se kam 1000 se 1100 words me likhe. Taki aap ke visitors aap ke website pe jayada time tak ruk shake. Aur aap ke site ka bounce rate bhi increase ho shake.

10. Remove Other’s Company Ads
Apne blog ke liye Google Adsense me apply karne se pahle. Agar aap ne kisi dusre company ka ads blog pe lagaya hai. To use remove kar de. Wai se aap adsense ke saath Chitika ya Infolinks ke ads laga shakte hai. Magar mai phir bhi yahi kahuga ki adsense me apply karne se pahle sare ads ko remove kar de.

11. Website Kitni Purani Ho
Adsense Policy ke hisab se India me. Aap ki website kam se kam 6 months purani honi chahiye. Per aisa nahi hai aap chaho to 5 se 6 dino me hi aap ka adsense account approve ho jayega. Magar us ke liye aap ka website adsense me apply karne se pahle. Puri tarah se ready honi chahiye. Jab tak aap ka website puri tarah se ready na ho jaye. Tab tak aap adsense ke liye apply na kare.

Ye the kuch awesome points jis ke duwra aap Google Adsense Account. Aasani se approved karwa shakte hai. Ummid karta hu ab aap ko pata chal gaya hoga. Blog banaye ke baad kab hum adsense account ke liye apply kare.

Asha karta hu dosto ki ye post aap ko pasand aayi hogi. Pasand aayi hai to ise share karna na bhule. Agar aap ka ish post se related koe sujhaw hai. To aap hume comment me jarur likhe. Ya phir koe saawal hai to aap comment kar ke puch shakte hai.

New Blog Ke Liye Google Adsense Me Apply Kab Kare – Jane Approval Tips Rating: 4.5 Diposkan Oleh: Unknown

0 comments:

Post a Comment

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();