Friday, November 3, 2017

Blog Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai Puri Jankari

Blog Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai Puri Jankari

Blog me adsense ke ads kaise lagate hai. Hello dosto isse pahle article me main aapko bata tha ke adsense me account kaise banaya jata hai. Agar aapne abhi kat adsense ke liye apply nahi kiya hai pahle aap apply kare (account banane ki jankari yaha hai) Is article mai main aapko batane jaraha hun ke adsense ke ads create kar ke ads ko blog me kaise lagana hai puri jankari ke sath.

Ads dekha kar paise pay karne wali company me adsense ka name sabse top par ata hai 99% blogger adsense ke hi ads apne blog par lgakar lakhon rupees money income karte hai. Aap bhi chahe to blog website youtube channel bana kar adsense se achha khasa paise kama sakte hai. Bus uske liye aapko thoda mehnat karna hoga kyuke bena mehnat ke koi bhi kam nahi hota hai. Agar aapme himmat, jazba or kuch karne ki khahish hai to aap bhi success ho sakte hai.

Blogger par free blog kaise banaye
Youtube me channel kaise banaye
Adsense ke ads blog me kaise lagaye
Adsense google ki banayi gai ek advertising company hai. Jisse blogger youtuber apni site par adsense ke ads lagate hai or jab koi visitor unki site par visite karta hai or us ad par click karta hai to uske badleme adsense paise deta hai.

Blog Me Kis Size Ke Ads Laga Kar Jada Paise Kamaya ja sakta hai

Bahut sare blogger ko ye malum nahi hota hai ke blog me kis size ka ads lagaye take us par achha click ho take usse achha profits kamaya ja sake.Ye baat shayad aap bhi sochte honge ki jada income karne ke liye blog par kis size ke ads lagana batter rahega. Iske bare me bhi thdasa bat kiya karenge.

Aksar blogger ko low income ki parishani rahti hai. Kyuki vo ads ke perfect size ko choose nahi kar pate hai jis par jada click hota hai. agar aap ads ke size ko perfect use nahi karenge to usse aapko kafi loss hosakta hai.

1. Ads links:200/90

Blogging karne wale ke liye ye size bilkul perfect hota hai. ye bilkul topic ke hisab se hi kaam karta hai. or post me likhe gaye topic se related topic par hi ads show hota hai jisse jada clicks milne ki ummid rahti hai.

Jaise agar aapne blogging topic par post likhte hai to iske hisab se ads show hogi make money it, blogging, create blog, free blog tips. or sabce badhya bat ye hai ke 200/90 ka size hone ki wajah se ye mobile friendly ads hai. jo visitors mobile use karte hai unke liye ye ads blog me lagana better hoga.

2. Banner 600/300

Aapne bahut sare blog’s par dekha hoga ki blog sidebar me ek banner ads lagahua  hota hai. ye bade size ke ads ko dikhane ke liye lagaya jata hai. Kuy ke adsense ke bahut se ads ke liye bada banner hona jaruri hota hai.

3. Responsive

Ye size sabse better mana jata hai. isko hum blog ki post, widget, sidebar, pages kahi bhi par bhi laga sakte hai. ye mobile, tablet, desktop ki screen ke hisab se adjust hojata hai or ussi size ke ads show karta hai. Yani aap chahe to isko kahi par bhi use kar sakte hai ads ussi hisab se show hogi.

Tips: Ads type me jada tar text/image ad hi use karne ki koshish kare. take aapki site par adsense behtar or site se related ads show kar sake.

Adsense Ke Ads Kaise Banate Hai
Adsense ke ads kaise banaye ye sbbse ahmam sawal hota hai kyuke jab hamara adsense account approve hojata hai to hame apne blog me adsense ke ad lagane ki jarurat hoti hai jisse hara earning start ho sake. Agar aap abhi blogging start ki hai to mai aapko yahi suggestion karunga ki pahle aap Behtar blog banaye or blog ki traffic badhane ki koshish kare. uske bad Adsense ke rules pad kar Adsense Account banaye. fir apne blog par ads lagaye. Agar aapne adsense ke rules follow nahi kiye to ho sakta hai google adsense aapke account ko block karde.

Dosto ab ham apne topic par chalte hai or jante hai ke Blog Me Adsense Ke Ads ksie lagate hai. Blog me ads lagane ke liye Hume sabse pahle Adsense me login kar ke ads banana parta hai. to chaliye pahle ads bana jan lete hai.

Step 1: Create New Ad Units
Sabse pahle aap https://www.google.com/adsense par login kare uske bad ” My Ads >> New Ad Unit ” par click kare.

Step 2: Ad size
New ad unit par click karne ke bad ab aap next screen me pahunch jayenge yaha aapko apna ad size ad type name etc.. select karna hai.

Name: isme ad ka name dale jisse aapko pahchanne me asani hogi koi bhi name dal sakte hai.
Showing: Recommended par click karke ad ka type or size select kar sakte hai yaha se custom size par click karke apne hisab se ads ka size bhi nana sakte hai.
adsense ke team ne pahle se kuch important size diya hua hai aap unme se apni jarurat ka size select kar sakte hai.
Ad type: me text & display ads select kare ya aapko jis type ka ads banane hai vo select kare.
Text style: better ye hai ke default par hi rahne de ya apne blog ke hisab se select kar sakte hai.
Save and get code: Apna ads type ad style or ad name dalne ke bad “Save and gate code” par click kare.
Step 3: Edit Ads Style
Agar aap text ad ka style chahte karna chahte hai hai to apne blog ke hisab se style bana sakte hai.

text ad style par click karne ke bad ek arrow page khulega usme aapko ads ka style setting karna hai.
Inme se jo aapko pasand ho wo style select kare.
copy and edit par click karte hi sare option enable ho jayenge or aap apni pasand se customize kar sakte hai.
Isme se aapko jiska style change karna hai vo change kar sakte hai.
setting karne par ads kaisa dikhega. yaha aap uska demo dekh sakte hai.
apni pasand ka color or style choose karlene ke bad ab aapko “Save and Get code” par click karna hai.
Step 4: Copy Adsense ads code
Adsense Ke Ads Code Kaha Se Milenga 1. Jab aap new ads create karte hai to Save and Get Code par click karte hi ek popup windows khulti hai usme aapke banaye gaye ads ka code show hota hai. use copy karke aap blog me add kar sakte hai.

Note: Adsense ke ads active hone me thoda time lagta hai 2 se 4 ghanta bhi lag sakta hai. Jab aapka ads active hojaye ga uske bad hi aapke blog par ad show hoga.
2. Adsense par ja kar Home ke niche me My Ads par click kare. yaha aapke sare ads ki list mil jayegi. aapko jis ads ke code chahiye  “Get code” par click karke aap ads ke code dobara copy kar sakte hai

Note: New ad create karne ke bad aapko vo code apne blog me pest karna hoga uske kuchh ghante bad aap ka ad active hojayega. Agar aapne blog me code ad nahi kiya ya kiya to status me new likha hoga. Or jo ads create kiya hai usko blog me nahi ad karne par aapka banaya hua ads 1 se 2 day me delete hojayega.
Blog Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai Ki Puri Jankari Hindi Me
To dosto Aapne adsense par apne blog ke liye ads bana liye hai or aapko uska code bhi mil gaya hai. Ab aap ye janna chahte hai ke blog me kaha kaha kis kis jagah par ads lagane hai. or kaise lagane hai.

Blog par adsense ke 3 Text image ads – 3 Text ads – or 3 Link ads hi allow hai. agar aap isse jada ads lagate ho to aapke blog par ads show nahi honge or aapka adsense account block bhi ho sakta hai.

1. Ads in Post

Blog post me aap 4-6 ads lagana better rahega. isse jada ads lagane se loading speed kam hoti hai. so aap post me 4-5 ads hi use kare. bahut si templates jo adsense friendly hoti hai. unme post me ads lagane ki alag se widget hoti hai.

Agar aapke blog ka template adsense ready nahi hai to aap post me direct ads code laga sakte hai. uske liye aapko post ke edit option me ja katr compose/html me se html par click kar jaha aapko ads dikhana hai waha ads code paste kare>

Post me aap “Responsive or Links Ads” add hi use karne ki koshish kare jisse mobile par bhi asani se ads adjust hojaye. Or yad rahe ke jaha par </> closing tag khatam hota hai uske bad hi code pest kare

2. Ads in Sidebar

Sidebar me 600/300 size ka ads lagana better rahega. aap chahe to sidebar me 2 ads bhi use kar sakte hai par 1 hi achha rahega.

3. Ads in Widget

Blogger.com par log in kar ke apne blog ke dashboard >> Layout>> me jakar jaha par bhi aapko ad lagana hai waha “Add a Gadget” par click karke “HTML/Javascript” par click kare or box me ads ke code paste karke save par click kare.

Blogger Layout Add Gadget

Dosto mujhe ummid hai ke blog me Adsense ke ads lagana sikh liya hoga or ab aap aasani se apne blog par Adsense ke ads laga sakte hai kahi par bhi. Agar aapko ye article pasand aya ise social media par share karna na bhule. or apgar aapka koi sawal hai to niche commitment box comment kar ke jarur puche le thanks.

Blog Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai Puri Jankari Rating: 4.5 Diposkan Oleh: Unknown

0 comments:

Post a Comment

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();