Friday, November 3, 2017

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.
HomepageWordPress

AdSense apne publisher ko income increase karne ka pura moka deta hai. Or iske liye AdSense new ads ko lounch karta raheta hai 25 April 2016 Ko AdSense ne Page Level ads ko lounch kiya jo Mobile site ko monetize karte aati hai or isse hum extra revenue increase kar sakte hai. Aaj ke tutorial me ham janege AdSense Page Level kya hai ? Isse mobile site monetize kaise kare ? ads code error ko kaise thik kare is bare me vistar se batayege.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.

Page-Level ads Google Adsense ne 2015 me hi lounch kiya tha. Lekin ye sabhi Adsense Publisher ko Available nhi hua tha. Isiliye iske bare me jayda log nahi jante hai. Page Level ads ka best feature Mobile par ads show karana hai. Jo publisher or visitors ko acha experience to deta hi hai sath hi AdSense revenue ko increase karne me help karta hai.

Page Level ads ko AdSense ka sabse best or better features mana ja sakta hai kyunki AdSense hum ko 3 ads ke sath Page Level ads bhi lagane ka moka deta hai yani hum totally 4 ads laga sakte hai apne blog page par lekin page level ads sirf mobile par show hone wala feature hai to aap is ads se apni earning ko dugna kar sakte hai.

Page Level ads ke kitne parkar hai ?
Google Adsense ke Page Level Ads me aapko 2 type ke ads ko lagane ka mauka milta hai. Aap in 2 type ke ads ko apne blog par ek sath laga sakte ye khass baat hai. To cale jante hai in 2 type ke ads ke bare me.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.

Anchor/Overlay Ads
vignette Ads
1. Anchor/Overlay Ads. Ye ads aapke page ke sabhi links ke upar ek box banker aayega. Or us box par tap karne par full screen Ad show hone lagega. Ye ad box sabhi links ke upar show karta hai, isiliye isko Overlay ads kaha jata hai. Overlay ads ko minimize karna bahut hi aasan hota hai.

2. Vignette Ads. Vignette ads aapke page ke Bottom me show karegi. Jabtak Visitor usko hide karta nhi tab tak bottom me ads show hogi. Overlay ads ki tarha vignette ads ko bhi minimize karna bahut aasan hota hai.

Page Level ads ko enable kaise kare ?
Page level ads kya hai or ye kitne type ke hote ye maine aapko details me bataya hai or page level ke fayde bhi samjha ya hai. Ab mai aapko bataunga Page level ads ko enable kaise kare bas aap mujhe step by step follow karte jaye.

Step 1. Adsense account me Singin kare.

Step 2. Iske baad left navigation menu par Click kare. Ab aapko My ads par click karna hai jiske baad aapke samne Page Level Ads ka option aapko dikhai dega uspar click kare.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.

Step 3. Page Level Ads par click karte hi ek page open hoga. Is page me aapko  2 tarah ke ads format show hoge.

1. Anchor/overlay ads.
2. Vignette ads.

Step 4. Ab page level ads anchor or vignette ads ke right side ko status column se in ads ko enable kar dena hai.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.

Step 5. Ads ko enable karne ke baad aapko “get Code” par click karna hai . Usme ads ka code dikhenge . Usko copy karle.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.

Ye lijiye aapne page level ads ko enable kar diya hai. Ab aapko page leval ads ka jo code mila hai usko apne blog me lagana hai. To chale ads ko blog me lagate hai.

Page Level ads ko Blogger Me Kaise Lagaye ?
Step 1. www.blogger.com par jaye. Or jis blog me page level ads lagane usko open kare.

Step 2. Ab Dashboard > Theme > edit html par click kare.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.

Step 3. Ab Ctrl + F button dabake template me <head> is code ko search kare.

Step 4. Template me code mile jane ke baad aapko Page Level ads ka code <head> ke niche paste karna hai.

Step 5. Ab aapko template ko save karna hai.

Note : Page Level ads code me ek error hai jiske karan aapka template save nhi hoga isliye phele aap us error ko thik karle fir code ko template me lagaye.

Page level ads code error ko thik kaise kare.
Jab aapko ads ka code milega usme aapko code ke bich me ka ek space remove karna hai. Wo code kuch is taraha ka hoga.

<script async src

Aapko is code me ka space kam karna hai jiske baad code niche bataye code ki tarah dikhai dega.

<script asyncsrc

Ab aapne page level ads ke code me ka error thik kar diya hai.

Page Level ads sahi se work kar rahe hai ki nhi ye ek bar test karne ke liye aap apne blog ko mobile me open karke blog url ke aage “#googleads”laga ke check kare.

Example : www.indihow.com/#googleads

WordPress Blog me Page Level ads kaise lagate hai ?
Step 1. sabse phele aap apne wordpress blog me login kariye.

Step 2. ab aapko Dashboard >> Appearance >> Editor ke button pe click kariye.

Step 3. ab editor open hoga jisme right side meheader.phpke file par click kare. iske liye aap niche diye image ka istemaal kar sakte hai.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye.

Step 4. header.php me aapko <head> search karna hai aur just uske neeche Ad code paste kar dena hai aur file ko Save kar dena hai.

Congratulations ! aapne apne wordpress blog me page level ads laga di hai. ager aapko yah tarika hard lagta hai to mai aapko ek aur tarika bata deta hu.

google page level ads code wordPress me lagane ke liye aapHeader and footer plugin ka bhi istemal kar sakte hai.

To dosto aapne aajke tutorial me Page Level ads kya hai iske faide kya hai, Isko enable kaise karte hai, blog me kaise lagate hai or page level ads error ko tik kaise karte hai ye sari jankari full details me jani hai.

Note : ye ek guest post hai jo ki yasir khan saqlaini ne likhi hai. jo sharethisindia.com ke owner hain

Aapko ye jankari kaise lagi ? Aapka koi sujhav ? Koi sawal ? To aap hum ko comment karke bataye sath hi humare new post ki jankari ke liye email subscribe kare.
.

Page Level Ads Kya Hai ? Blogger aur WordPress Blog Me Kaise Lagaye. Rating: 4.5 Diposkan Oleh: Unknown

0 comments:

Post a Comment

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();